E Shahensha-e Madina



E Shahensha-e Madina, Aswalaatu Was salaam
Zeenat-e arshe mu’alla, Aswalaatu Was salaam

Mo’mino par te raho tum upne Aaqaa par Durood
He farishto ka wazifa, Aswalaatu Was salaam

Aamina ke gaud me, pyaare Nabi ko Dekh kar
Har Sitaara par rahaa tha, Aswalaatu Was salaam

Sar Jhuka kar baa Adab, Ishqe Rasulullah me
Har sitaara par rahaa tha, Aswalaatu Was salaam

Pett par baandhe huwe patthar Dua’ kar te rahe
Aap par E-mere Aaqa, Aswalaatu Was salaam

Jis Taraf utthi nazar, dekhun tumhe pyaare Nabi
Ho ataa aysi Basirat, Aswalaatu Was salaam

Me who Sunni hu, jameele Qadiri marne ke baad
Mera Laasha bhi kahega, Aswalaatu Was salaam

Jaan ho tan se judaa, kalma par hu me aap ka
Lub pe aye waqt rehlat, Aswalaatu Was salaam

Jab Farishte Kabr me Jalwa dikhaaye aap ka
Ho zubaan par ho pyaare Aaqa, Aswalaatu Was salaam

Booth sikhan aaya ye keh kar, sar pe booth ghir gaye
Jhoom kar kehta tha Kaa’ba, Aswalaatu Was salaam

Gaud me lekar Halima Sadia ne kahan
E mere mushkil Kushaa, Aswalaatu Was salaam

Raato ko Ro ro kar, ummat ke liye ki Dua
Rab ne farmaaya ke bakhsha, Aswalaatu Was salaam

Roze Mehshar Kaali Kamli me chupana Ya Nabi
Hum ghuneh gaar par rahe he, Aswalaatu Was salaam

E Shahensha-e Madina, Aswalaatu Was salaam
Zeenat-e arshe mu’alla, Aswalaatu Was salaam

Back to Miscelleneous

Back to homepage

Back to http://www.salawaat.com