E Subz Gumbad Waale


E Subz Gumbad Waale, Manzoor dua karna
Jab Waqt-e Nazaa Aaye, Deedaar Ataa karna

E Noor-e Khuda Aakar, Ankhon me Samaajaana
Ya Dar pe Bula lena, Ya Khwaab me Aajaana
E Parda nasheen dil ke, Parde me rahaa karna
Jab Waqt-e Nazaa Aaye, Deedaar Ataa karna

Me Qabr Andheri me, Gabraaunga jab tanha
Imdaad ko merit um, Aajaana zara shaahaa
Roshan meri Turbat Ko, Lillaha zara karna
Jab Waqt-e Nazaa Aaye, Deedaar Ataa karna

Mujrim hu Jahaan bhar ka, Mehshar me Bharam rakhna
Ruswaa-e zamaana hu, Aaqa dozakh se bachaalena
Maqbool dua meri, Mehboob-e Khuda karna
Jab Waqt-e Nazaa Aaye, Deedaar Ataa karna

Chehre se Ziyaa Paayi, sub chaand sitaaro ne
Us dar se shifa paayi, dukh dard ke maaro ne
Aata he unhe saabir, har dukh ki dua karna
Jab Waqt-e Nazaa Aaye, Deedaar Ataa karna

Mehboob Ilaahi sa, koyi na Haseen dekha
Ye shaan bhi he unka, saaya bhi nahin dekha
Allaha ne Saaye ko, Chaha na juda karna
Jab Waqt-e Nazaa Aaye, Deedaar Ataa karna

E Subz Gumbad Waale, Manzoor dua karna
Jab Waqt-e Nazaa Aaye, Deedaar Ataa karna


Back to Miscelleneous

Back to homepage

Back to http://www.salawaat.com