Falaq Ke Nazaaro, Zamin Ki Bahaaro



Falaq ke Nazaaro, Zamin ki Bahaaro
Sab Eid-e banawo, Huzoor Aagayehe


Utho Besahaaro, Chalo Gam ke Maaro
Khabar yeh Sunao, Huzoor Aagayehe


Anokha Niraala Wo Zishaan Aaya
Saare Nabiyon ka wo Sultan Aaya
Arre Baadshaao Arre Kaj ke laaho
Nigaahe jhukaao, Huzoor Aagayehe


Huwa Chaarsu Rahmato ka basera
Ujala Ujala, Sawera Sawera
Halima ko Pohanchi Khabar Aamina Ki
Mere Ghar me Aawo, Huzoor Aagayehe


Fizaao me jazbaat he Marhaba ke
Fizaao me nagmaat he Salle’Ala ke
Duroodo ke Gajre, Salaamo ke Taufe
Ghulaamo sajaao, Huzoor Aagayehe


Samaa he Sunaaye, Habibe Khuda ka
Ye Milaad he Sarwarre Anbiya ka
Nabi ke Gadawo, ek dusre ko
Galle se lagaao, Huzoor Aagayehe


Kahaa he Zuhoori, Kaha un ki Baaten
Karam hi Karam he, Yeh Din or yeh Raaten
Jahaan par bhi Jaawo Yehi kehte jaawo
Huzoor Aagayehe, Huzoor Aagayehe

Back to Miscelleneous

Back to homepage

Back to http://www.salawaat.com