|
Kabhi Us Shaks ke Ebon
Kabhi Us Shaks ke Ebon ka charcha ho nahin sakta
Bharam jiska Nabi rakh khe wo ruswaa ho nahin sakta
Nabi ke cha ha ne waalo ke daaman se huwa basta
Yakeen he qabr me meri andhera ho nahin sakta
Hasino Mahjabeen Naazneen yu to bohat se he
Magar koyi me Sarkaar jeysa ho nahin sakta
Shabbe Me’raaj ye Haqq ne Kahaa, Mehboob se apne
Mere Mehboob Dekho Aaj, parda ho nahin sakta
Shabbe Me’raaj ye Haqq ne Kahaa, Mehboob se apne
Nahin he jo tumhaara wo hamaara ho nahin sakta
Nahin he pyaar jiske dil me Kamli waale Aaqa Ka
Qasam Rab ki kabhi Rab ka wo pyaara ho nahin sakta
Nazaara meri aankhon ne kiya Subz Gumbad kaa
Ub is se bar ke koyi bhi nazaara ho nahin sakta
Nabi ke Aastan ko Ghordun ye kaise mumkin he
Me marjaaunga lekin ye gawaara ho nahin sakta
Nahin he jiski aankhon me basirat noor-o-imaan ki
Usse Aaqa ke jalwo ka nazaara ho nahin sakta
Back to Miscelleneous
Back to homepage
|
 |
|