Khate Mul Anbiya




Khate mul anbiya Haqq ka piyara nabi
Saare nabiyon se afzal hamara nabi

Nabiyan, nabiyun nabiyun nabi (twice)

Ashraful ambiya hein hamara nabi
Wo nabi kaun ummat ka piyara nabi

Mubinun, mubinun, mubinun, mubi (twice)

Aaj yusuf bhi un ke gulami me he
Tum ne dekha zulekha hamara nabi

Bashirun, bashirun, bashirun, bashir (twice)

Tum ho woh husn waale ke Allah ne
Apna mehboob keh kar pukara nabi

Rahimun, rahimun, rahimun, rahim (twice)

Aasmano hi par sab nabi reh gaye
Urshe aazam ne pohoncha, hamara nabi

Aminun, aminun, aminun, amin (twice)

Muj gunahghar ka pardha dhak leegiye
Eb mere na ho ash kara nabi

Rasulun, rasulun, rasulun, rasul (twice)

Kahtemul anbiya haq ka pyara nabi
Saare nabiyon se afsal hamara nabi

Back to Miscelleneous

Back to homepage

Back to http://www.salawaat.com