Subse Awla wo Aala Humaara Nabi



Subse Awla wo Aala Humaara Nabi
Subse Bhaala wo waala Hamaara Nabi

Apne Mawla ka pyaara Humaara Nabi
Dono aalam ka Dulha, Humaara Nabi

Bhuj gayi jis kea age sabhi mas-a-le
Shamma wo lekar aaya Humaara Nabi

Khalq se Awliya, Awliya se Rasul
Or Rasulo se Aala, Humaara Nabi

Sarre acchon se accha samajiye jisse
Us acchon se accha Humaara Nabi

Jinke do bande hein Kausaro Salsabil
He who Rahmat ka Dariya, Humaara Nabi

Jinke Talwon ka dhowan he aabe hayaat
He wo jaane masiha, Humaara Nabi


Back to Miscelleneous

Back to homepage

Back to http://www.salawaat.com